sirf kahne ko koi azmat-nishan banta nahin
sirf kahne ko koī azmat-nishāñ bantā nahīñ
chand qatroñ se to bahr-e-be-karāñ bantā nahīñ
chaar chhe phūloñ se apne ghar kā guldasta sajā
chaar chhe phūloñ se hargiz gulsitāñ bantā nahīñ
kārvāñ kā paas hai tujh ko to paanī par na chal
ye vo jaada hai jahāñ koī nishāñ bantā nahīñ
be-sar-o-sāmāñ parindo kaash tum ye sochte
kaun sī shāḳheñ haiñ jin par āshiyāñ bantā nahīñ
kis qadar nā-qābil-e-idrāk hai merī zabāñ
koī is bastī meñ merā ham-zabāñ bantā nahīñ
sirf kahne ko koi azmat-nishan banta nahin
chand qatron se to bahr-e-be-karan banta nahin
chaar chhe phulon se apne ghar ka guldasta saja
chaar chhe phulon se hargiz gulsitan banta nahin
karwan ka pas hai tujh ko to pani par na chal
ye wo jada hai jahan koi nishan banta nahin
be-sar-o-saman parindo kash tum ye sochte
kaun si shaKHen hain jin par aashiyan banta nahin
kis qadar na-qabil-e-idrak hai meri zaban
koi is basti mein mera ham-zaban banta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.