sirf karb-e-anā diyā hai mujhe
zindagī ne bhī kyā diyā hai mujhe
muskurāte hue bhī Dartā huuñ
ġham ne buzdil banā diyā hai mujhe
jis tarah ret par ho naqsh koī
yuuñ havā ne miTā diyā hai mujhe
maiñ use dil-lagī samajhtā thā
tū ne sach-much bhulā diyā hai mujhe
yārab is be-hisoñ ke shahr meñ kyuuñ
dil-e-dard-āshnā diyā hai mujhe
vo bhī ThanDī havā kā jhoñkā thā
jis ne yaksar jalā diyā hai mujhe
us ne rakkhā hai be-tarah masrūf
roz hī ġham nayā diyā hai mujhe
aaj mere hī dil ne ai 'ābid'
apnā dushman banā diyā hai mujhe
sirf karb-e-ana diya hai mujhe
zindagi ne bhi kya diya hai mujhe
muskuraate hue bhi Darta hun
gham ne buzdil bana diya hai mujhe
jis tarah ret par ho naqsh koi
yun hawa ne miTa diya hai mujhe
main use dil-lagi samajhta tha
tu ne sach-much bhula diya hai mujhe
yarab is be-hison ke shahr mein kyun
dil-e-dard-ashna diya hai mujhe
wo bhi ThanDi hawa ka jhonka tha
jis ne yaksar jala diya hai mujhe
us ne rakkha hai be-tarah masruf
roz hi gham naya diya hai mujhe
aaj mere hi dil ne ai 'abid'
apna dushman bana diya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.