sirf karwaT nahin hadon ke beach
sirf karvaT nahīñ hadoñ ke beach
ik zamāna hai karvaToñ ke beach
aañkh palkoñ ke beach aisī hai
jaise dariyā ho sāhiloñ ke beach
zindagī rail sī guzartī hai
saañs kī donoñ pTriyoñ ke beach
ye koī mas.ala na ban jaa.e
ek aañsū hai qahqahoñ ke beach
mas.ala laḌkiyāñ hī hotī haiñ
ādatan saare dostoñ ke beach
muñh banā kar khaḌī rahe nafrat
ishq ho jaa.e sarhadoñ ke beach
sirf karwaT nahin hadon ke beach
ek zamana hai karwaTon ke beach
aankh palkon ke beach aisi hai
jaise dariya ho sahilon ke beach
zindagi rail si guzarti hai
sans ki donon pTriyon ke beach
ye koi masala na ban jae
ek aansu hai qahqahon ke beach
masala laDkiyan hi hoti hain
aadatan sare doston ke beach
munh bana kar khaDi rahe nafrat
ishq ho jae sarhadon ke beach
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.