sirf sach aur jhuT ki mizan mein rakkhe rahe
sirf sach aur jhuuT kī mīzān meñ rakkhe rahe
ham bahādur the magar maidān meñ rakkhe rahe
jugnuoñ ne phir añdheroñ se laḌā.ī jiit lī
chāñd sūraj ghar ke raushan-dān meñ rakkhe rahe
dhīre dhīre saarī kirneñ ḳhud-kushī karne lagīñ
ham sahīfa the magar juzdān meñ rakkhe rahe
band kamre khol kar sachchā.iyāñ rahne lagīñ
ḳhvāb kachchī dhuup the dālān meñ rakkhe rahe
sirf itnā fāsla hai zindagī se maut kā
shāḳh se toḌe ga.e gul-dān meñ rakkhe rahe
zindagī bhar apnī gūñgī dhaḌkanoñ ke saath saath
ham bhī ghar ke qīmtī sāmān meñ rakkhe rahe
sirf sach aur jhuT ki mizan mein rakkhe rahe
hum bahadur the magar maidan mein rakkhe rahe
jugnuon ne phir andheron se laDai jit li
chand suraj ghar ke raushan-dan mein rakkhe rahe
dhire dhire sari kirnen KHud-kushi karne lagin
hum sahifa the magar juzdan mein rakkhe rahe
band kamre khol kar sachchaiyan rahne lagin
KHwab kachchi dhup the dalan mein rakkhe rahe
sirf itna fasla hai zindagi se maut ka
shaKH se toDe gae gul-dan mein rakkhe rahe
zindagi bhar apni gungi dhaDkanon ke sath sath
hum bhi ghar ke qimti saman mein rakkhe rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.