sirf tasvīr muskurātī hai
varna dil meñ bahut udāsī hai
vaise dozaḳh mirā Thikāna thā
ye to un kī karam-navāzī hai
shiddat-e-pyās shukriya terā
karbalā yaad to dilātī hai
dard-e-jānāñ baḌhā mire maulā
dard-e-jānāñ meñ kāmyābī hai
vo to maiñ thā jo uTh gayā varna
zindagī bojh kab uThātī hai
sirf taswir muskuraati hai
warna dil mein bahut udasi hai
waise dozaKH mera Thikana tha
ye to un ki karam-nawazi hai
shiddat-e-pyas shukriya tera
karbala yaad to dilati hai
dard-e-jaanan baDha mere maula
dard-e-jaanan mein kaamyabi hai
wo to main tha jo uTh gaya warna
zindagi bojh kab uThati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.