sirf un ke dil mein basne ke liye
sirf un ke dil meñ basne ke liye
bik ga.e ham ek sapne ke liye
qatre qatre par likhī hai dāstāñ
aa.egā kyā koī paḌhne ke liye
aisī aadat ġham kī ham ko ho ga.ī
chāhiye ġham koī hañsne ke liye
pahle nochā hai paroñ ko aur phir
kar diyā āzād uḌne ke liye
sochte haiñ āstīñ ko dekh kar
kyā unheñ paalā thā Dasne ke liye
dost dushman ġhair apne ajnabī
taak meñ baiThe haiñ Dañkne ke liye
kitne haiñ tayyār duniyā meñ javāñ
diip kī mānind jalne ke liye
terī kyā auqāt hai 'ānand' jab
shams bhī majbūr Dhalne ke liye
sirf un ke dil mein basne ke liye
bik gae hum ek sapne ke liye
qatre qatre par likhi hai dastan
aaega kya koi paDhne ke liye
aisi aadat gham ki hum ko ho gai
chahiye gham koi hansne ke liye
pahle nocha hai paron ko aur phir
kar diya aazad uDne ke liye
sochte hain aastin ko dekh kar
kya unhen pala tha Dasne ke liye
dost dushman ghair apne ajnabi
tak mein baiThe hain Dankne ke liye
kitne hain tayyar duniya mein jawan
dip ki manind jalne ke liye
teri kya auqat hai 'anand' jab
shams bhi majbur Dhalne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.