sirf zinda hi nahin hosh sambhaale hue hain
sirf zinda hī nahīñ hosh sambhāle hue haiñ
aap ko dasht meñ ya.anī abhī hafte hue haiñ
kaun chāhegā daraḳht us ke samar-bār na hoñ
tū bane is liye ham ḳhud ko miTā.e hue haiñ
ye jo bachche haiñ faqat jhūlā nahīñ jhuul rahe
shāḳh pe phuul kī mānind ye laTke hue haiñ
in daraḳhtoñ ke favā.ed kā tumheñ ilm nahīñ
un ko mat kaaTo ye baabā ke lagā.e hue haiñ
maiñ bahut ḳhush thā mujhe us ne bulāyā hai 'azīm'
par yahāñ jitne haiñ sab us ke bulā.e hue haiñ
sirf zinda hi nahin hosh sambhaale hue hain
aap ko dasht mein yani abhi hafte hue hain
kaun chahega daraKHt us ke samar-bar na hon
tu bane is liye hum KHud ko miTae hue hain
ye jo bachche hain faqat jhula nahin jhul rahe
shaKH pe phul ki manind ye laTke hue hain
in daraKHton ke fawaed ka tumhein ilm nahin
un ko mat kaTo ye baba ke lagae hue hain
main bahut KHush tha mujhe us ne bulaya hai 'azim'
par yahan jitne hain sab us ke bulae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.