sisak lete hain gahe nala-o-zari nahin karte
sisak lete haiñ gaahe nāla-o-zārī nahīñ karte
mohabbat jin ko hotī hai adākārī nahīñ karte
kise batlā.eñ ham kyoñ us kī mahfil meñ nahīñ jaate
huzūrī jin ko hāsil ho vo darbārī nahīñ karte
hunar rakhte ho suune nāḳhunoñ ko kuchh to zīnat do
kabhī kyoñ aa ke mere dil pe gul-kārī nahīñ karte
mirī chāhat ko hañs kar kah diyā dīvāngī tum ne
to phir kyoñ paas aa kar duur bīmārī nahīñ karte
jo dil meñ hai tumhāre saaf vo chehre se zāhir hai
chalo muñh se bhī kah do ziyāda hushyārī nahīñ karte
haiñ kuchh sūkhe hue phūloñ ke bichchhū in kitāboñ meñ
inhī ke ḳhauf se ham saaf almārī nahīñ karte
ye manzar rail kī khiḌkī ke bāhar jo badalte haiñ
guzar jaate haiñ un ko ḳhud pe ham taarī nahīñ karte
ḳhusūsan imtihāñ kī date bhī jab yak-ba-yak aa.e
ajab kyā fail ho jaa.eñ jo tayyārī nahīñ karte
sisak lete hain gahe nala-o-zari nahin karte
mohabbat jin ko hoti hai adakari nahin karte
kise batlaen hum kyon us ki mahfil mein nahin jate
huzuri jin ko hasil ho wo darbari nahin karte
hunar rakhte ho sune naKHunon ko kuchh to zinat do
kabhi kyon aa ke mere dil pe gul-kari nahin karte
meri chahat ko hans kar kah diya diwangi tum ne
to phir kyon pas aa kar dur bimari nahin karte
jo dil mein hai tumhaare saf wo chehre se zahir hai
chalo munh se bhi kah do ziyaada hushyari nahin karte
hain kuchh sukhe hue phulon ke bichchhu in kitabon mein
inhi ke KHauf se hum saf almari nahin karte
ye manzar rail ki khiDki ke bahar jo badalte hain
guzar jate hain un ko KHud pe hum tari nahin karte
KHususan imtihan ki date bhi jab yak-ba-yak aae
ajab kya fail ho jaen jo tayyari nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.