sisak rahe hain kai na-tawan se bahar
sisak rahe haiñ ka.ī nā-tavān se bāhar
qadam nikāl kisī din makān se bāhar
kalām-e-yār kī tārīf kis zabāñ se ho
hai ḳhush-bayānī-e-jānāñ bayān se bāhar
na hone meñ hī hai lutf-e-dahan raho ḳhāmosh
samajh ke baat nikālo zabān se bāhar
hamāre saath hai paimāna-e-dil ai ḳhammār
nikāl shīsha-o-sāġhar dukān se bāhar
karegā charḳh mirī gor se bhī kaj-bāzī
koī zamīn nahīñ āsmān se bāhar
tumhāre ghar se agar naam luuñ nikalne kā
nikāl do mujhe saare jahān se bāhar
barā.e-jalva kasīf-o-latīf yaksāñ haiñ
na aap jism se bāhar na jaan se bāhar
kiyā mujhe samar-e-naḳhl-e-āh ne mamnūn
vo bārhā nikal aa.e makān se bāhar
vo sher kyā ki ma.ānī hoñ batn-e-shā.ir meñ
ġhalat ye hai rahe maġhz ustuḳhvān se bāhar
asar talammuz-e-'nāsiḳh' kā kyoñ na ho ai 'rashk'
tamām tarz-e-suḳhan hai bayān se bāhar
sisak rahe hain kai na-tawan se bahar
qadam nikal kisi din makan se bahar
kalam-e-yar ki tarif kis zaban se ho
hai KHush-bayani-e-jaanan bayan se bahar
na hone mein hi hai lutf-e-dahan raho KHamosh
samajh ke baat nikalo zaban se bahar
hamare sath hai paimana-e-dil ai KHammar
nikal shisha-o-saghar dukan se bahar
karega charKH meri gor se bhi kaj-bazi
koi zamin nahin aasman se bahar
tumhaare ghar se agar nam lun nikalne ka
nikal do mujhe sare jahan se bahar
barae-jalwa kasif-o-latif yaksan hain
na aap jism se bahar na jaan se bahar
kiya mujhe samar-e-naKHl-e-ah ne mamnun
wo barha nikal aae makan se bahar
wo sher kya ki maani hon batn-e-shair mein
ghalat ye hai rahe maghz ustuKHwan se bahar
asar talammuz-e-'nasiKH' ka kyon na ho ai 'rashk'
tamam tarz-e-suKHan hai bayan se bahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.