sisakte baam-o-dar rota hua ghar chhoD aaya hun
sisakte baam-o-dar rota hua ghar chhoD aaya hun
Bharat Bhushan Pant
MORE BYBharat Bhushan Pant
sisakte bām-o-dar rotā huā ghar chhoḌ aayā huuñ
maiñ ḳhud ko ek vīrāne meñ jā kar chhoḌ aayā huuñ
jahāñ ehsās kī āvāz bhī aatī nahīñ mujh tak
maiñ aisī be-hisī meñ ḳhud ko aksar chhoḌ aayā huuñ
akelā maiñ hī kyuuñ ab ye sukūt mauj bhī TuuTe
thiraktī jhiil kī āñkhoñ meñ kankar chhoḌ aayā huuñ
bahut ujlat meñ apne zaḳhm maiñ ne sī liye lekin
kahīñ maiñ jism ke andar hī nashtar chhoḌ aayā huuñ
jo ik tasvīr thī dil meñ vo mujh se ban na paa.ī to
maiñ ek kāġhaz pe saare rañg bhar kar chhoḌ aayā huuñ
sisakte baam-o-dar rota hua ghar chhoD aaya hun
main KHud ko ek virane mein ja kar chhoD aaya hun
jahan ehsas ki aawaz bhi aati nahin mujh tak
main aisi be-hisi mein KHud ko aksar chhoD aaya hun
akela main hi kyun ab ye sukut mauj bhi TuTe
thirakti jhil ki aankhon mein kankar chhoD aaya hun
bahut ujlat mein apne zaKHm main ne si liye lekin
kahin main jism ke andar hi nashtar chhoD aaya hun
jo ek taswir thi dil mein wo mujh se ban na pai to
main ek kaghaz pe sare rang bhar kar chhoD aaya hun
- Book : Khuvabon Ka Karvan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.