sisakti lau pe sitam-zarifi ke war karta
sisakti lau pe sitam-zarifi ke war karta
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
sisaktī lau pe sitam-zarīfī ke vaar kartā
koī charāġhoñ ko rāt-bhar be-qarār kartā
palaT ke bār-e-digar mohabbat daboch letī
agar maiñ rāh-e-farār bhī iḳhtiyār kartā
tirī mohabbat kā lams-e-avval talāshnā thā
maiñ apnī āsāniyāñ tujhī par nisār kartā
ka.ī zamānoñ talak mirā bhī vajūd shal thā
koī safar meñ mirī aziyyat shumār kartā
mujhe ḳhasāre hī raas aate rahe haiñ 'jāmī'
maiñ aap jaisoñ ke saath kyā kārobār kartā
sisakti lau pe sitam-zarifi ke war karta
koi charaghon ko raat-bhar be-qarar karta
palaT ke bar-e-digar mohabbat daboch leti
agar main rah-e-farar bhi iKHtiyar karta
teri mohabbat ka lams-e-awwal talashna tha
main apni aasaniyan tujhi par nisar karta
kai zamanon talak mera bhi wajud shal tha
koi safar mein meri aziyyat shumar karta
mujhe KHasare hi ras aate rahe hain 'jami'
main aap jaison ke sath kya karobar karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.