siskiyan leti rahi thi raat bhar
siskiyāñ letī rahī thī raat bhar
sham.a ik aisī jalī thī raat bhar
har taraf thā kaif-o-mastī kā samāñ
har taraf chhā.ī ḳhushī thī raat bhar
hijr meñ koī sharīk-e-ġham na thā
sham-e-dil tanhā jalī thī raat bhar
sar uThā.e the añdhere ke hujūm
raushnī sahmī huī thī raat bhar
dekh kar ra.anā.iyāñ chāroñ taraf
aañkh merī kab lagī thī raat bhar
kis qadar maġhmūm thī bazm-e-sharāb
dil ko kaisī bekalī thī raat bhar
'āshnā' chashm-e-tasavvur ke nisār
un kī hī jalvagarī thī raat bhar
siskiyan leti rahi thi raat bhar
shama ek aisi jali thi raat bhar
har taraf tha kaif-o-masti ka saman
har taraf chhai KHushi thi raat bhar
hijr mein koi sharik-e-gham na tha
sham-e-dil tanha jali thi raat bhar
sar uThae the andhere ke hujum
raushni sahmi hui thi raat bhar
dekh kar ranaiyan chaaron taraf
aankh meri kab lagi thi raat bhar
kis qadar maghmum thi bazm-e-sharab
dil ko kaisi bekali thi raat bhar
'ashna' chashm-e-tasawwur ke nisar
un ki hi jalwagari thi raat bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.