Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

siskiyon hichkiyon aahon ki farawani mein

Aamir Suhail

siskiyon hichkiyon aahon ki farawani mein

Aamir Suhail

MORE BYAamir Suhail

    siskiyoñ hichkiyoñ aahoñ farāvānī meñ

    uljhaneñ kitnī haiñ is ishq āsānī meñ

    ye tire bāloñ tālāb tah ko chhūnā

    hālat-e-ḳhvāb meñ ālam-e-uryānī meñ

    be-hijābāna kisī lahr tujh tak aana

    phir tire jism bah jaanā ghane paanī meñ

    kahkashāoñ ġhazāloñ ġhazal-zādoñ

    dūr-o-nazdīk se aanā tirī mehmānī meñ

    raat jhuknā tirī pusht pe dildārī ko

    baaġh ke peḌoñ aa jaanā rajaz-ḳhvānī meñ

    bām-o-dar dekhte jaate haiñ khaḌe sakte meñ

    ik sitāre tavārud tirī peshānī meñ

    marmarīñ uñgliyāñ ik dil pe likheñ hāl-e-hinā

    phuul āvāz khil jaa.e pashemānī meñ

    chāñd maḳhrūtī ubhāroñ pe shuā.eñ pheñke

    is qadar mahv tujhe dekh ke hairānī meñ

    sāya-e-sābit-o-sayyār ke haale meñ chalūñ

    aur jahānoñ meñ rahūñ terī nigahbānī meñ

    siskiyon hichkiyon aahon ki farawani mein

    uljhanen kitni hain is ishq ki aasani mein

    ye tere baalon ka talab ki tah ko chhuna

    haalat-e-KHwab mein ya aalam-e-uryani mein

    be-hijabana kisi lahr ka tujh tak aana

    phir tere jism ka bah jaana ghane pani mein

    kahkashaon ka ghazalon ka ghazal-zadon ka

    dur-o-nazdik se aana teri mehmani mein

    raat ka jhukna teri pusht pe dildari ko

    bagh ke peDon ka aa jaana rajaz-KHwani mein

    baam-o-dar dekhte jate hain khaDe sakte mein

    ek sitare ka tawarud teri peshani mein

    marmarin ungliyan ek dil pe likhen haal-e-hina

    phul aawaz ka khil jae pashemani mein

    chand maKHruti ubhaaron pe shuaen phenke

    is qadar mahw tujhe dekh ke hairani mein

    saya-e-sabit-o-sayyar ke haale mein chalun

    aur jahanon mein rahun teri nigahbani mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now