siskiyon ko daba ke roya hun
siskiyoñ ko dabā ke royā huuñ
apne aañsū chhupā ke royā huuñ
ranj-o-ġham apne bebasī dil kī
apne rab ko batā ke royā huuñ
soch kar ye ki bah hī jaa.e ġham
āñsuoñ meñ samā ke royā huuñ
jis ko khone kā Dar sā rahtā thā
dekho us ko maiñ pā ke royā huuñ
us kī ḳhātir usī ko chhoḌā hai
us ko ḳhushiyāñ dilā ke royā huuñ
terā ġham to huā nasīb mujhe
chalo kuchh to kamā ke royā huuñ
zaḳhm ik dil pe khā ke royā huuñ
vāste bevafā ke royā huuñ
sau tarah ke savāl hoñge so
maiñ bahāna banā ke royā huuñ
bharī mahfil meñ apnī bātoñ se
baaqī sab ko hañsā ke royā huuñ
mujh ko dekho 'hadīd' chehre par
muskurāhaT sajā ke royā huuñ
siskiyon ko daba ke roya hun
apne aansu chhupa ke roya hun
ranj-o-gham apne bebasi dil ki
apne rab ko bata ke roya hun
soch kar ye ki bah hi jae gham
aansuon mein sama ke roya hun
jis ko khone ka Dar sa rahta tha
dekho us ko main pa ke roya hun
us ki KHatir usi ko chhoDa hai
us ko KHushiyan dila ke roya hun
tera gham to hua nasib mujhe
chalo kuchh to kama ke roya hun
zaKHm ek dil pe kha ke roya hun
waste bewafa ke roya hun
sau tarah ke sawal honge so
main bahana bana ke roya hun
bhari mahfil mein apni baaton se
baqi sab ko hansa ke roya hun
mujh ko dekho 'hadid' chehre par
muskurahaT saja ke roya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.