sitara-chashm hai aur mehrban hai
sitāra-chashm hai aur mehrbāñ hai
vo merī ḳhaak par ab āsmāñ hai
tire aage mirā ḳhāmosh honā
yaqīñ ke TuuT jaane kā samāñ hai
hadd-e-ā.indagāñ par ek lamha
mirī majbūriyoñ kā rāz-dāñ hai
havā se rishta-e-jāñ kyā nibhā.ūñ
kisī kī yaad hī jab bad-gumāñ hai
tirā milnā na milnā ek hī thā
ye tanhā.ī to ik jū-e-ravāñ hai
sitara-chashm hai aur mehrban hai
wo meri KHak par ab aasman hai
tere aage mera KHamosh hona
yaqin ke TuT jaane ka saman hai
hadd-e-aindagan par ek lamha
meri majburiyon ka raaz-dan hai
hawa se rishta-e-jaan kya nibhaun
kisi ki yaad hi jab bad-guman hai
tera milna na milna ek hi tha
ye tanhai to ek ju-e-rawan hai
- Book : meyaar (Pg. 350)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.