sitara ho ki aansu bas chamak hai
sitāra ho ki aañsū bas chamak hai
lagā le shart mujh se jis ko shak hai
kahāñ tak aap ko jaanā hai kahiye
nazar kā rāsta to dil talak hai
talātum ḳhez kar de un kī dhaḌkan
mirī chūḌī meñ aisī bhī khanak hai
mohabbat se use mansūb mat kar
mire lahje meñ jo thoḌī lachak hai
maiñ itnī duur bhī tum se nahīñ huuñ
hamāre darmiyāñ kuchh hai to shak hai
sitara ho ki aansu bas chamak hai
laga le shart mujh se jis ko shak hai
kahan tak aap ko jaana hai kahiye
nazar ka rasta to dil talak hai
talatum KHez kar de un ki dhaDkan
meri chuDi mein aisi bhi khanak hai
mohabbat se use mansub mat kar
mere lahje mein jo thoDi lachak hai
main itni dur bhi tum se nahin hun
hamare darmiyan kuchh hai to shak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.