sitara toD sakta hun
sitāra toḌ saktā huuñ
sahārā toḌ saktā huuñ
zarā āñkhoñ ko samjhāo
ishāra toḌ saktā huuñ
ye merā dil to merā hai
tumhārā toḌ saktā huuñ
ta.alluq kab zarūrī hai
dobāra toḌ saktā huuñ
tirī dariyā-tabī.at kā
kināra toḌ saktā huuñ
zarā sā ishq kyā karnā
maiñ saarā toḌ saktā huuñ
nazar 'mas.ūd' aisī hai
nazāra toḌ saktā huuñ
sitara toD sakta hun
sahaara toD sakta hun
zara aankhon ko samjhao
ishaara toD sakta hun
ye mera dil to mera hai
tumhaara toD sakta hun
talluq kab zaruri hai
dobara toD sakta hun
teri dariya-tabiat ka
kinara toD sakta hun
zara sa ishq kya karna
main sara toD sakta hun
nazar 'masud' aisi hai
nazara toD sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.