sitare ki sajal jhilmil ke resham se bani main
sitāre kī sajal jhilmil ke resham se banī maiñ
hujūm-e-ḳhalq do ruuyā khaḌā hai aur chalī maiñ
ye jo sahrāoñ ke ab.aad āñkhoñ meñ khule haiñ
bagūloñ ko bhalī lagne lagī huuñ hijratī maiñ
maiñ sotī rah ga.ī bedār lamhe ke umuq meñ
koī ḳhvābīda saa.at thī ki jis meñ jāgtī maiñ
ka.ī sahrā the merī pyaas kī pahnā.iyoñ meñ
kisī dariyā ke taT tak aa ke phir vāpas muḌī maiñ
ye tum jo kesarī niilā ba-nafsī DhūñDte ho
tumheñ ye rañg mil sakte haiñ par merī hañsī maiñ
kisī rahrav meñ itnā dam nahīñ aa.e dham ko
pichhal piirī koī phirtī hai ḳhvāhish kī galī meñ
ye le kaarī ye girdā-e-ġhinā ye ahmarīñ sur
kisī ke hoñT ghul kar aa rahe haiñ bāñsurī maiñ
zarūrī thā ki dil ke pech-o-ḳham par aañkh paḌtī
patā terā bhalā logoñ se kaise pūchhtī maiñ
khanak uThtī hai rah rah kar mirī āvāz 'mahnāz'
bahut nam-sāz miTTī gūñdh kar shāyad banī maiñ
sitare ki sajal jhilmil ke resham se bani main
hujum-e-KHalq do ruya khaDa hai aur chali main
ye jo sahraon ke abaad aankhon mein khule hain
bagulon ko bhali lagne lagi hun hijrati main
main soti rah gai bedar lamhe ke umuq mein
koi KHwabida saat thi ki jis mein jagti main
kai sahra the meri pyas ki pahnaiyon mein
kisi dariya ke taT tak aa ke phir wapas muDi main
ye tum jo kesari nila ba-nafsi DhunDte ho
tumhein ye rang mil sakte hain par meri hansi main
kisi rahraw mein itna dam nahin aae dham ko
pichhal piri koi phirti hai KHwahish ki gali mein
ye le kari ye girda-e-ghina ye ahmarin sur
kisi ke honT ghul kar aa rahe hain bansuri main
zaruri tha ki dil ke pech-o-KHam par aankh paDti
pata tera bhala logon se kaise puchhti main
khanak uThti hai rah rah kar meri aawaz 'mahnaz'
bahut nam-saz miTTi gundh kar shayad bani main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.