sitare toD hi lane ko chal raha hun main
sitāre toḌ hī laane ko chal rahā huuñ maiñ
yuuñ hai ki aap ke saa.e meñ Dhal rahā huuñ maiñ
tulū'-e-mehr-e-daraḳhshāñ ho zindagī meñ kabhī
isī ḳhayāl meñ ghar se nikal rahā huuñ maiñ
vo ek baat jo maanī nahīñ hai vālid kī
junūñ meñ shaam se pahle hī Dhal rahā huuñ maiñ
sadaf ke saath jo dekhā to abr ne ye kahā
tumhāre shahr kī jānib hī chal rahā huuñ maiñ
kisī kī samt se bhejī ga.ī haiñ tasvīreñ
baḌe sukūt se tanhā machal rahā huuñ maiñ
vo ek shaḳhs jo merā raqīb lagtā hai
vo aa gayā hai so tevar badal rahā huuñ maiñ
sitare toD hi lane ko chal raha hun main
yun hai ki aap ke sae mein Dhal raha hun main
tulu'-e-mehr-e-daraKHshan ho zindagi mein kabhi
isi KHayal mein ghar se nikal raha hun main
wo ek baat jo mani nahin hai walid ki
junun mein sham se pahle hi Dhal raha hun main
sadaf ke sath jo dekha to abr ne ye kaha
tumhaare shahr ki jaanib hi chal raha hun main
kisi ki samt se bheji gai hain taswiren
baDe sukut se tanha machal raha hun main
wo ek shaKHs jo mera raqib lagta hai
wo aa gaya hai so tewar badal raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.