sitare TuT kar kyon gir rahe hain su-e-mai-KHana
sitāre TuuT kar kyoñ gir rahe haiñ sū-e-mai-ḳhāna
ḳhudā ma.alūm kis mai-kash kā chhalkā aaj paimāna
zamāna roz dohrātā hai parvāne kā afsāna
magar sīkhā na koī aaj tak īsār-e-parvāna
bachā gardish se mai-ḳhāne ko ai sāqi-e-mai-ḳhāna
kisī kī chashm-e-tar tak aa chalā hai ḳhushk paimāna
ḳhudārā hashr kā ilzām apne sar na lo dekho
mujhe kahne do tum kyoñ kah rahī ho merā afsāna
bas itnī sī tamanna jān-e-takmīl-e-tamanna hai
vo apne muñh se ye kah deñ vo aaya merā dīvāna
ba-ā.īn-e-haqīqat ḳhūn-e-nāhaq rang laatā hai
utar aa.ī hai har ik sham.a meñ tasvīr-e-parvāna
pareshāñ gul se giryāñ sham.a se larzāñ sitāroñ se
jahāñ se chāho tum tartīb de lo merā afsāna
ba-rang-e-nau abhī ye saarī be-rangī badaltī hai
agar tevar badal kar uTh khaḌā ho ek dīvāna
'shifā' husn-e-samā.at ho to kuchh mushkil nahīñ sunñā
na kahne par bhī saarā raaz kah jaatā hai dīvāna
sitare TuT kar kyon gir rahe hain su-e-mai-KHana
KHuda malum kis mai-kash ka chhalka aaj paimana
zamana roz dohraata hai parwane ka afsana
magar sikha na koi aaj tak isar-e-parwana
bacha gardish se mai-KHane ko ai saqi-e-mai-KHana
kisi ki chashm-e-tar tak aa chala hai KHushk paimana
KHudara hashr ka ilzam apne sar na lo dekho
mujhe kahne do tum kyon kah rahi ho mera afsana
bas itni si tamanna jaan-e-takmil-e-tamanna hai
wo apne munh se ye kah den wo aaya mera diwana
ba-ain-e-haqiqat KHun-e-nahaq rang lata hai
utar aai hai har ek shama mein taswir-e-parwana
pareshan gul se giryan shama se larzan sitaron se
jahan se chaho tum tartib de lo mera afsana
ba-rang-e-nau abhi ye sari be-rangi badalti hai
agar tewar badal kar uTh khaDa ho ek diwana
'shifa' husn-e-samaat ho to kuchh mushkil nahin sunna
na kahne par bhi sara raaz kah jata hai diwana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.