sitaron ka jahan hai aur main hun
sitāroñ kā jahāñ hai aur maiñ huuñ
ḳhayāl-e-āsmāñ hai aur maiñ huuñ
na jaane kis taraf le jaa.e kashtī
shikasta bādbāñ hai aur maiñ huuñ
mirā afsāna sun kar kyā karoge
ġhamoñ kī dāstāñ hai aur maiñ huuñ
rihā.ish mas.ala ban kar khaḌī hai
shikasta sā makāñ hai aur maiñ huuñ
qafas kī tīliyāñ kahtī haiñ mujh se
bahār-e-gulsitāñ hai aur maiñ huuñ
abhī mahrūmiyoñ ke silsile haiñ
nigāh-e-be-zabāñ hai aur maiñ huuñ
vo mahfil meñ haiñ mere rū-ba-rū 'tāj'
nazar kā imtihāñ hai aur maiñ huuñ
sitaron ka jahan hai aur main hun
KHayal-e-asman hai aur main hun
na jaane kis taraf le jae kashti
shikasta baadban hai aur main hun
mera afsana sun kar kya karoge
ghamon ki dastan hai aur main hun
rihaish masala ban kar khaDi hai
shikasta sa makan hai aur main hun
qafas ki tiliyan kahti hain mujh se
bahaar-e-gulsitan hai aur main hun
abhi mahrumiyon ke silsile hain
nigah-e-be-zaban hai aur main hun
wo mahfil mein hain mere ru-ba-ru 'taj'
nazar ka imtihan hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.