sitaron ki ginti hai hum jaante hain
sitāroñ kī gintī hai ham jānte haiñ
abhī raat baaqī hai ham jānte haiñ
ye shohrat majāzī hai ham jānte haiñ
ki hai bhī nahīñ bhī hai ham jānte haiñ
bahut saarī achchhī sī ḳhush-fahmiyoñ kī
jo qīmat adā kī hai ham jānte haiñ
gulistāñ nazāre daraḳht ik muharram
jo dil pe guzartī hai ham jānte haiñ
ye zulf-e-ḳhayāl-e-ḳhatā hai na kholo
ye khul kar jo kartī hai ham jānte haiñ
ye zāt-e-ḳhudā hai ye dikhtī hai dekho
magar kis ne dekhī hai ham jānte haiñ
ba-yak-vaqt zabt-o-havas kar ke 'āmir'
tabī.at jo bigḌī hai ham jānte haiñ
sitaron ki ginti hai hum jaante hain
abhi raat baqi hai hum jaante hain
ye shohrat majazi hai hum jaante hain
ki hai bhi nahin bhi hai hum jaante hain
bahut sari achchhi si KHush-fahmiyon ki
jo qimat ada ki hai hum jaante hain
gulistan nazare daraKHt ek muharram
jo dil pe guzarti hai hum jaante hain
ye zulf-e-KHayal-e-KHata hai na kholo
ye khul kar jo karti hai hum jaante hain
ye zat-e-KHuda hai ye dikhti hai dekho
magar kis ne dekhi hai hum jaante hain
ba-yak-waqt zabt-o-hawas kar ke 'amir'
tabiat jo bigDi hai hum jaante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.