sitaron ki jalwa-fishani nahin hai
sitāroñ kī jalva-fishānī nahīñ hai
abhī āsmāñ par javānī nahīñ hai
ye hai us kī raushan tabī'at kā hissa
tabassum ke pīchhe kahānī nahīñ hai
ajal ḳhuub hañstī hai un bastiyoñ par
jahāñ log haiñ zindagānī nahīñ hai
mohabbat ke jām-o-subū toḌ baiThī
siyāsat kī āñkhoñ meñ paanī nahīñ hai
tashakkur kā iz.hār achchhā hai lekin
ye haq hai koī mehrbānī nahīñ hai
ḳhalāoñ meñ parvāz kaise karegā
tirā hausla āsmānī nahīñ hai
mire nukta-chīno zarā yaad rakhnā
luġhat meñ mirī be-zabānī nahīñ hai
sahārā le 'zāhid' kī ġhazloñ kā tū bhī
agar shaam koī suhānī nahīñ hai
sitaron ki jalwa-fishani nahin hai
abhi aasman par jawani nahin hai
ye hai us ki raushan tabi'at ka hissa
tabassum ke pichhe kahani nahin hai
ajal KHub hansti hai un bastiyon par
jahan log hain zindagani nahin hai
mohabbat ke jam-o-subu toD baiThi
siyasat ki aankhon mein pani nahin hai
tashakkur ka izhaar achchha hai lekin
ye haq hai koi mehrbani nahin hai
KHalaon mein parwaz kaise karega
tera hausla aasmani nahin hai
mere nukta-chino zara yaad rakhna
lughat mein meri be-zabani nahin hai
sahaara le 'zahid' ki ghazlon ka tu bhi
agar sham koi suhani nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.