sitam-e-dost ka gila kya hai
sitam-e-dost kā gila kyā hai
sañbhal ai dil tujhe kahā kyā hai
nigah-e-nāz ko na do taklīf
dil meñ ab yaas ke sivā kyā hai
jis ko marne kī bhī umiid na ho
us kī hasrat ko pūchhnā kyā hai
yuñhī anjām ban ke phir pūchho
mujh se tum merā mudda.ā kyā hai
sāmne hai vo jalva-e-rangīñ
ye fareb-e-nazar hai yā kyā hai
jī uThe ab bhī tum jo aa jaao
varna bīmār meñ rahā kyā hai
sitam-e-dost ka gila kya hai
sanbhal ai dil tujhe kaha kya hai
nigah-e-naz ko na do taklif
dil mein ab yas ke siwa kya hai
jis ko marne ki bhi umid na ho
us ki hasrat ko puchhna kya hai
yunhi anjam ban ke phir puchho
mujh se tum mera muddaa kya hai
samne hai wo jalwa-e-rangin
ye fareb-e-nazar hai ya kya hai
ji uThe ab bhi tum jo aa jao
warna bimar mein raha kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.