sitam ka hath na roka magar bura to kaha
sitam kā haath na rokā magar burā to kahā
jo zer-e-lab sabhī kahte the barmalā to kahā
tamām-shahr thā munkir tire ta.alluq se
ġharīb-e-shahr tujhe ham ne āshnā to kahā
pighal rahī hai taġhāful kī barf ab shāyad
ki muskurā ke mujhe yaar bevafā to kahā
vafā kā qaht hai itnā ki ab sar-e-maqtal
maiñ is pe ḳhush huuñ ki yāroñ ne marhabā to kahā
hoī na sīna-sipar go himāyat-e-haq meñ
jo misl-e-teġh thā vo harf-e-haq-numā to kahā
sitam ka hath na roka magar bura to kaha
jo zer-e-lab sabhi kahte the barmala to kaha
tamam-shahr tha munkir tere talluq se
gharib-e-shahr tujhe hum ne aashna to kaha
pighal rahi hai taghaful ki barf ab shayad
ki muskura ke mujhe yar bewafa to kaha
wafa ka qaht hai itna ki ab sar-e-maqtal
main is pe KHush hun ki yaron ne marhaba to kaha
hoi na sina-sipar go himayat-e-haq mein
jo misl-e-tegh tha wo harf-e-haq-numa to kaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.