sitam ka KHauf nahin hai alam ki baat nahin
sitam kā ḳhauf nahīñ hai alam kī baat nahīñ
rah-e-talab meñ kisī pech-o-ḳham kī baat nahīñ
visāl-e-yār kī ummīd bhī ajab shai hai
hazār ġham haiñ magar phir bhī ġham kī baat nahīñ
chalo ki mil ke madavā-e-ġham kareñ ham log
hai sab ko ek hī ġham besh-o-kam kī baat nahīñ
tumhārī zulf hai mumkin hai ḳhud sañvar jaa.e
tumhārī zulf meñ kuchh pech-o-ḳham kī baat nahīñ
sitamgaroñ pe in ashkoñ kā kyā asar hogā
hayāt-e-jehd hai kuchh chashm-e-nam kī baat nahīñ
sitam ka KHauf nahin hai alam ki baat nahin
rah-e-talab mein kisi pech-o-KHam ki baat nahin
visal-e-yar ki ummid bhi ajab shai hai
hazar gham hain magar phir bhi gham ki baat nahin
chalo ki mil ke madawa-e-gham karen hum log
hai sab ko ek hi gham besh-o-kam ki baat nahin
tumhaari zulf hai mumkin hai KHud sanwar jae
tumhaari zulf mein kuchh pech-o-KHam ki baat nahin
sitamgaron pe in ashkon ka kya asar hoga
hayat-e-jehd hai kuchh chashm-e-nam ki baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.