sitam ke baad bhi baqi karam ki aas to hai
sitam ke baa'd bhī baaqī karam kī aas to hai
vafā shi'ār nahīñ vo vafā shanās to hai
vo dil kī baat zabāñ se na kuchh kaheñ shāyad
hamāre haal pe chehra magar udaas to hai
ye dil-fareb banāras kī sub.h kā manzar
avadh kī shām-e-dil-ārā hamāre paas to hai
bharam rahegā tire mai-kade kā bhī saaqī
balā se ḳhālī sahī haath meñ gilās to hai
chale hī jaa.eñ nigāhoñ se duur aap magar
hasīn yādoñ kī daulat hamāre paas to hai
kare bhale hī na rahmat kī mujh pe tū bārish
tire karam kī mire dil meñ ek aas to hai
ye sach hai us ne bujhā.ī na tishnagī lekin
hamārī tishna-dahānī kā us ko paas to hai
durust hai ki farishta-sifat nahīñ 'dānish'
ḳhudā gavāh basīrat kī us ko pyaas to hai
sitam ke ba'd bhi baqi karam ki aas to hai
wafa shi'ar nahin wo wafa shanas to hai
wo dil ki baat zaban se na kuchh kahen shayad
hamare haal pe chehra magar udas to hai
ye dil-fareb banaras ki subh ka manzar
awadh ki sham-e-dil-ara hamare pas to hai
bharam rahega tere mai-kade ka bhi saqi
bala se KHali sahi hath mein gilas to hai
chale hi jaen nigahon se dur aap magar
hasin yaadon ki daulat hamare pas to hai
kare bhale hi na rahmat ki mujh pe tu barish
tere karam ki mere dil mein ek aas to hai
ye sach hai us ne bujhai na tishnagi lekin
hamari tishna-dahani ka us ko pas to hai
durust hai ki farishta-sifat nahin 'danish'
KHuda gawah basirat ki us ko pyas to hai
- Book : Danish Kada (Pg. 128)
- Author : Danish Farahi
- Publication : Riyaz Ahmed Farahi, Ramleela Maidan, Saraimeer Azamgarh (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.