sitam ke war se zanjir surKH hone lagi
sitam ke vaar se zanjīr surḳh hone lagī
shikast-e-zīst kī tasvīr surḳh hone lagī
mire badan kā lahū bhī to is meñ shāmil hai
jalā charāġh to tanvīr surḳh hone lagī
koī bhī zaḳhm mire jism par nahīñ lekin
pasīna Tapkā to tahrīr surḳh hone lagī
hamāre baḳht kā sūraj ġhurūb hone se
har ek qaum kī taqdīr surḳh hone lagī
jo ik zamāne se dīvār par hai laTkī huī
na jaane kaise vo shamshīr surḳh hone lagī
har ek aañkh meñ kyā ḳhuuñ agar gayā 'ātish'
ki muñh se niklī to taqrīb surḳh hone lagī
sitam ke war se zanjir surKH hone lagi
shikast-e-zist ki taswir surKH hone lagi
mere badan ka lahu bhi to is mein shamil hai
jala charagh to tanwir surKH hone lagi
koi bhi zaKHm mere jism par nahin lekin
pasina Tapka to tahrir surKH hone lagi
hamare baKHt ka suraj ghurub hone se
har ek qaum ki taqdir surKH hone lagi
jo ek zamane se diwar par hai laTki hui
na jaane kaise wo shamshir surKH hone lagi
har ek aankh mein kya KHun agar gaya 'atish'
ki munh se nikli to taqrib surKH hone lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.