sitam ki baat jahan harf-e-motabar Thahre
sitam kī baat jahāñ harf-e-mo'tabar Thahre
nava-e-dard vahāñ kyoñ na be-asar Thahre
hazār-haif ki jo āgahī ke dushman the
hamāre shahr meñ vo log dīda-var Thahre
tamām umr satātā rahā bas ek ḳhayāl
vo ḳhvāb kaash in āñkhoñ meñ umr bhar Thahre
kabhī to dil ko mayassar sukūn ho yārab
kahīñ to jā ke ye bhaTkī huī nazar Thahre
girāñ guzartī to hai us kī talḳhī-e-guftār
ajab nahīñ ki vahī shaḳhs mo'atabar Thahre
sitam ki baat jahan harf-e-mo'tabar Thahre
nawa-e-dard wahan kyon na be-asar Thahre
hazar-haif ki jo aagahi ke dushman the
hamare shahr mein wo log dida-war Thahre
tamam umr satata raha bas ek KHayal
wo KHwab kash in aankhon mein umr bhar Thahre
kabhi to dil ko mayassar sukun ho yarab
kahin to ja ke ye bhaTki hui nazar Thahre
giran guzarti to hai us ki talKHi-e-guftar
ajab nahin ki wahi shaKHs mo'atabar Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.