sitam ki tegh chali tir bhi jafa ke chale
sitam ki tegh chali tir bhi jafa ke chale
Mohammad Naeemullah Khayali
MORE BYMohammad Naeemullah Khayali
sitam kī teġh chalī tiir bhī jafā ke chale
jo baat haq thī sar-e-dār ham sunā ke chale
kuchh aisī duur na thiiñ manzileñ mohabbat kī
vufūr-e-shauq meñ ham fāsle baḌhā ke chale
jo āb-o-dāna chaman se uThā chaman vaalo
har ek shāḳh pe ham āshiyāñ banā ke chale
uThe to mahfil-e-rindāñ se tishna-kām magar
qadam qadam pe ham ek mai-kada banā ke chale
sulag sulag ke rahe jo diyā bujhā na sake
ga.e to jaate hue aag vo lagā ke chale
'ḳhayālī' she'r hai kyā ye to ahl-e-fan jāneñ
ham apne dil kī ba-shakl-e-ġhazal sunā ke chale
sitam ki tegh chali tir bhi jafa ke chale
jo baat haq thi sar-e-dar hum suna ke chale
kuchh aisi dur na thin manzilen mohabbat ki
wufur-e-shauq mein hum fasle baDha ke chale
jo aab-o-dana chaman se uTha chaman walo
har ek shaKH pe hum aashiyan bana ke chale
uThe to mahfil-e-rindan se tishna-kaam magar
qadam qadam pe hum ek mai-kada bana ke chale
sulag sulag ke rahe jo diya bujha na sake
gae to jate hue aag wo laga ke chale
'KHayali' she'r hai kya ye to ahl-e-fan jaanen
hum apne dil ki ba-shakl-e-ghazal suna ke chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.