sitam ko lutf jafa ko wafa bana na sake
sitam ko lutf jafā ko vafā banā na sake
tumhīñ ne aag lagā.ī tumhīñ bujhā na sake
ham un ko tark-e-ta.alluq pe bhī bhulā na sake
girah havā meñ lagā.ī magar lagā na sake
baḌe maze kī hai donoñ taraf kī majbūrī
koī bulā na sake koī paas aa na sake
ajab ravish hai ajab intizām-e-gulshan hai
koī to ḳhuub hañse koī muskurā na sake
sharāb-e-kaif sharāb-e-ḳhushī sharāb-e-sukūñ
na jaane pī na sake ham ki vo pilā na sake
har iztirāb ko ham ne sukūñ se badlā hai
vo aur hoñge jo tūfāñ ke naaz uThā na sake
hayāt-e-shabnam-o-umr-e-shamīm-e-gul mālūm
vo naqsh ban ki zamāna jise miTā na sake
bahut qarīb se dekhā hai ham ne duniyā ko
ye phuul vo hai kisī ke jo kaam aa na sake
mirī pukār ne bedār kar diyā un ko
taġhayyurāt-e-zamāna jinheñ jagā na sake
maiñ har zabāñ kā bahī-ḳhvāh huuñ 'nihāl' magar
ye chāhtā huuñ ki urdu pe aañch aa na sake
sitam ko lutf jafa ko wafa bana na sake
tumhin ne aag lagai tumhin bujha na sake
hum un ko tark-e-talluq pe bhi bhula na sake
girah hawa mein lagai magar laga na sake
baDe maze ki hai donon taraf ki majburi
koi bula na sake koi pas aa na sake
ajab rawish hai ajab intizam-e-gulshan hai
koi to KHub hanse koi muskura na sake
sharab-e-kaif sharab-e-KHushi sharab-e-sukun
na jaane pi na sake hum ki wo pila na sake
har iztirab ko hum ne sukun se badla hai
wo aur honge jo tufan ke naz uTha na sake
hayat-e-shabnam-o-umr-e-shamim-e-gul malum
wo naqsh ban ki zamana jise miTa na sake
bahut qarib se dekha hai hum ne duniya ko
ye phul wo hai kisi ke jo kaam aa na sake
meri pukar ne bedar kar diya un ko
taghayyuraat-e-zamana jinhen jaga na sake
main har zaban ka bahi-KHwah hun 'nihaal' magar
ye chahta hun ki urdu pe aanch aa na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.