sitam koi naya ijad karna
sitam koī nayā ījād karnā
to mujh ko bhī mirī jaañ yaad karnā
qayāmat hai dil-e-nālāñ qayāmat
tirā rah rah ke ye fariyād karnā
chalo ab lutf hī ko āzmāo
tumheñ aatā nahīñ bedād karnā
asīr-e-zulf hai 'mahrūm' un kā
jinheñ aatā nahīñ āzād karnā
sitam koi naya ijad karna
to mujh ko bhi meri jaan yaad karna
qayamat hai dil-e-nalan qayamat
tera rah rah ke ye fariyaad karna
chalo ab lutf hi ko aazmao
tumhein aata nahin bedad karna
asir-e-zulf hai 'mahrum' un ka
jinhen aata nahin aazad karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.