sitam mein tab kam ho to pashemani mein rahti hain
sitam meñ taab kam ho to pashemānī meñ rahtī haiñ
mire ġham se mirī ḳhushiyāñ pareshānī meñ rahtī haiñ
tumhārī shakl in āñkhoñ meñ aa jaatī hai din Dhalte
ye donoñ sīpiyāñ phir raat bhar paanī meñ rahtī haiñ
jo dard-e-zaḳhm baḌhtā hai to lutf-andoz hotā huuñ
mirī sab rāhateñ us kī namak-dānī meñ rahtī haiñ
mire andar ke ġham bāhar bhī zāhir hote rahte haiñ
ye dil kī silvaTeñ haiñ jo ki peshānī meñ rahtī haiñ
azal se hai hamārī āñkhoñ meñ paivast ā.īna
so in meñ jhāñkne vaalī bhī hairānī meñ rahtī haiñ
tumheñ maiñ chuum luuñ chhū luuñ zarā ik sharm hai varna
ye saarī justujueñ hadd-e-imkānī meñ rahtī haiñ
sitam mein tab kam ho to pashemani mein rahti hain
mere gham se meri KHushiyan pareshani mein rahti hain
tumhaari shakl in aankhon mein aa jati hai din Dhalte
ye donon sipiyan phir raat bhar pani mein rahti hain
jo dard-e-zaKHm baDhta hai to lutf-andoz hota hun
meri sab rahaten us ki namak-dani mein rahti hain
mere andar ke gham bahar bhi zahir hote rahte hain
ye dil ki silwaTen hain jo ki peshani mein rahti hain
azal se hai hamari aankhon mein paiwast aaina
so in mein jhankne wali bhi hairani mein rahti hain
tumhein main chum lun chhu lun zara ek sharm hai warna
ye sari justujuen hadd-e-imkani mein rahti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.