sitam par sitam sah rahi hai zamin
sitam par sitam sah rahī hai zamīñ
magar muñh se kab boltī hai zamīñ
mirā aur is kā hai sadiyoñ kā saath
mujhe ḳhuub pahchāntī hai zamīñ
zamāne kī har chiiz badlī magar
vahī āsmāñ hai vahī hai zamīñ
bulātā hai ḳhurshīd āġhosh meñ
ḳhalā meñ magar nāchtī hai zamīñ
humaktā huuñ maiñ chāñd ke vāste
aur apnī taraf khīñchtī hai zamīñ
ḳhalā kī bulandī se jab kī nigāh
baḌī ḳhūbsūrat lagī hai zamīñ
kahīñ dab ga.ī barf ke Dher meñ
kahīñ aag ugalne lagī hai zamīñ
kahīñ jin kā koī Thikāna nahīñ
unheñ bhī jagah de rahī hai zamīñ
churā le na 'tāhir' koī fan kā chor
ye bilkul achhūtī na.ī hai zamīñ
sitam par sitam sah rahi hai zamin
magar munh se kab bolti hai zamin
mera aur is ka hai sadiyon ka sath
mujhe KHub pahchanti hai zamin
zamane ki har chiz badli magar
wahi aasman hai wahi hai zamin
bulata hai KHurshid aaghosh mein
KHala mein magar nachti hai zamin
humakta hun main chand ke waste
aur apni taraf khinchti hai zamin
KHala ki bulandi se jab ki nigah
baDi KHubsurat lagi hai zamin
kahin dab gai barf ke Dher mein
kahin aag ugalne lagi hai zamin
kahin jin ka koi Thikana nahin
unhen bhi jagah de rahi hai zamin
chura le na 'tahir' koi fan ka chor
ye bilkul achhuti nai hai zamin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.