sitam-rasida hun mujh par wo irtikaz kare
sitam-rasīda huuñ mujh par vo irtikāz kare
pa-e-visāl manāhī kā Tuk javāz kare
siyāh raat judā.ī kā zaḳhm de jaa.e
sarīr-e-ḳhāma sadāoñ se dil-gudāz kare
nigāh-e-dil ko use dekhne kī jaldī hai
'alattamām na aa.e pa nīm-bāz kare
use kaho na kare un pe mudda'ā zāhir
use kaho ki raqīboñ se ehtirāz kare
use kaho ki ta'alluq meñ muḳhlisī barte
vafā-sarisht-o-farebī meñ imtiyāz kare
mirī talab to bas itnī hai mohtasib sāhib
mirī taraf bhī vo pal ko nigāh-e-nāz kare
sitam-rasida hun mujh par wo irtikaz kare
pa-e-visal manahi ka Tuk jawaz kare
siyah raat judai ka zaKHm de jae
sarir-e-KHama sadaon se dil-gudaz kare
nigah-e-dil ko use dekhne ki jaldi hai
'alattamam na aae pa nim-baz kare
use kaho na kare un pe mudda'a zahir
use kaho ki raqibon se ehtiraaz kare
use kaho ki ta'alluq mein muKHlisi barte
wafa-sarisht-o-farebi mein imtiyaz kare
meri talab to bas itni hai mohtasib sahib
meri taraf bhi wo pal ko nigah-e-naz kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.