sitam-rasida zamana-gazida logon se
sitam-rasīda zamāna-gazīda logoñ se
hamārā rabt hai bas chīda chīda logoñ se
kisī se bāñdh ke rakhte koī ta.alluq kyā
khiche khiche rahe ham bhī kashīda logoñ se
ye mauj terī taraf bhī to lauT saktī hai
kalām ḳhushk na kar ābdīda logoñ se
ḳhushā junūñ kā ye aalam ḳhushā ye vahshat-e-ishq
bharā hai dasht garebāñ-darīda logoñ se
baġhair un ke na jaane jahān kā kyā ho
ye bazm hai to unhī ḳhvāb-dīda logoñ se
na ho sakā suḳhan-e-garm se bayāñ 'tāriq'
jo kah gayā mirā ashk-e-tapīda logoñ se
sitam-rasida zamana-gazida logon se
hamara rabt hai bas chida chida logon se
kisi se bandh ke rakhte koi talluq kya
khiche khiche rahe hum bhi kashida logon se
ye mauj teri taraf bhi to lauT sakti hai
kalam KHushk na kar aabdida logon se
KHusha junun ka ye aalam KHusha ye wahshat-e-ishq
bhara hai dasht gareban-darida logon se
baghair un ke na jaane jahan ka kya ho
ye bazm hai to unhi KHwab-dida logon se
na ho saka suKHan-e-garm se bayan 'tariq'
jo kah gaya mera ashk-e-tapida logon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.