sitam-rasidon ke jazbaat aazmao nahin
sitam-rasīdoñ ke jazbāt āzmāo nahīñ
jo taar TuuT ga.e un ko gudgudāo nahīñ
maiñ ek barg huuñ aur vo bhī barg-e-pazhmurda
havāo dhīre chalo mujh ko āzmāo nahīñ
hameñ ḳhud apnī mohabbat pe naaz hai yaaro
hamāre chāk-e-garebāñ pe muskurāo nahīñ
paḌe na baad meñ pachhtānā tum ko ai yaaro
girāñ na ho to ḳhulūs is qadar baḌhāo nahīñ
har ek shaḳhs kā apnā mizāj hotā hai
kisī ko dekh ke is tarah muskurāo nahīñ
nahīñ hai dosh kisī kā hue haiñ ḳhud barbād
chalo bhī ḳhatm karo baat ko baḌhāo nahīñ
ye kis ne kah diyā tujh se ye baat jhūTī hai
tire faroġh ko tujh se koī lagāv nahīñ
sitam-rasidon ke jazbaat aazmao nahin
jo tar TuT gae un ko gudgudao nahin
main ek barg hun aur wo bhi barg-e-pazhmurda
hawao dhire chalo mujh ko aazmao nahin
hamein KHud apni mohabbat pe naz hai yaro
hamare chaak-e-gareban pe muskurao nahin
paDe na baad mein pachhtana tum ko ai yaro
giran na ho to KHulus is qadar baDhao nahin
har ek shaKHs ka apna mizaj hota hai
kisi ko dekh ke is tarah muskurao nahin
nahin hai dosh kisi ka hue hain KHud barbaad
chalo bhi KHatm karo baat ko baDhao nahin
ye kis ne kah diya tujh se ye baat jhuTi hai
tere farogh ko tujh se koi lagaw nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.