sitam sa koi sitam hai tera panah teri
sitam sa koi sitam hai tera panah teri
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
sitam sā koī sitam hai tirā panāh tirī
paḌī hai chaar taraf ik tarāh tarāh tirī
tarīq par jo nahīñ tū hai rah na mere saath
vo raah merī hai ai jaan sun ye raah tirī
dilā tū ishq meñ har lahza ashk-e-ḳhūnīñ ro
ki surḳh-rūī isī se hai rū-siyāh tirī
maiñ itnā bāzī-e-ulfat meñ kyuuñ na huuñ shashdar
jo māñgo pāñch do paḌte haiñ ḳhvāh-maḳhvāh tirī
ġhazal javasht ho 'ehsāñ' to vāh-vāh na kar
kahegī ḳhalq ki vaa.e hai vāh-vāh tirī
sitam sa koi sitam hai tera panah teri
paDi hai chaar taraf ek tarah tarah teri
tariq par jo nahin tu hai rah na mere sath
wo rah meri hai ai jaan sun ye rah teri
dila tu ishq mein har lahza ashk-e-KHunin ro
ki surKH-rui isi se hai ru-siyah teri
main itna bazi-e-ulfat mein kyun na hun shashdar
jo mango panch do paDte hain KHwah-maKHwah teri
ghazal jawasht ho 'ehsan' to wah-wah na kar
kahegi KHalq ki wae hai wah-wah teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.