sitam-shiar zamane ne hausle na diye
sitam-shi.ār zamāne ne hausle na diye
rah-e-siyāh pe pheñkā magar diye na diye
bahut se vāqiye aise guzar ga.e haiñ ki jo
tire jamāl kī aadat ne dekhne na diye
hamāre baad mazār-e-vafā ko dekho to
kahīñ na phuul na ḳhushbū na tāqche na diye
judā.iyāñ bhī na pindār-e-dil miTā pā.īñ
ki rāste to diye dil ne vāste na diye
bhare jahān se chun kar mujhe muqaddar ne
jo chand log diye bhī to kaam ke na diye
sitam-shiar zamane ne hausle na diye
rah-e-siyah pe phenka magar diye na diye
bahut se waqiye aise guzar gae hain ki jo
tere jamal ki aadat ne dekhne na diye
hamare baad mazar-e-wafa ko dekho to
kahin na phul na KHushbu na taqche na diye
judaiyan bhi na pindar-e-dil miTa pain
ki raste to diye dil ne waste na diye
bhare jahan se chun kar mujhe muqaddar ne
jo chand log diye bhi to kaam ke na diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.