sitam-shiar zamane pe KHauf tari rakh
sitam-shi.ār zamāne pe ḳhauf taarī rakh
mile tū jab bhī sharīfoñ se inkisārī rakh
tujhe milegā tirā mudda.ā zarūr ik din
magar hai shart musalsal talāsh jaarī rakh
ye terā husn kahīñ hādisa na ban jaa.e
sitam-zarīf zamāne se hoshiyārī rakh
safar pe kab tujhe jaanā paḌe ye kyā mālūm
jo kaam vaqt pe aa.e vahī savārī rakh
tujhe vaqār bachānā hai har tarah apnā
har ek baat kī duniyā se hoshiyārī rakh
unhīñ ke faiz se hal hoñgī mushkileñ saarī
ḳhudā-parast buzurgoñ kī jānkārī rakh
na jiine deñge vatan meñ tire tujhe 'ahmar'
munāfiqoñ ke liye tū bhī zo.am-dārī rakh
sitam-shiar zamane pe KHauf tari rakh
mile tu jab bhi sharifon se inkisari rakh
tujhe milega tera muddaa zarur ek din
magar hai shart musalsal talash jari rakh
ye tera husn kahin hadisa na ban jae
sitam-zarif zamane se hoshiyari rakh
safar pe kab tujhe jaana paDe ye kya malum
jo kaam waqt pe aae wahi sawari rakh
tujhe waqar bachana hai har tarah apna
har ek baat ki duniya se hoshiyari rakh
unhin ke faiz se hal hongi mushkilen sari
KHuda-parast buzurgon ki jaankari rakh
na jine denge watan mein tere tujhe 'ahmar'
munafiqon ke liye tu bhi zoam-dari rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.