sitam tere hifazat se rahenge
sitam tere hifāzat se raheñge
mire dil meñ nihāñ-ḳhāne bahut haiñ
uge haiñ har taraf shahroñ ke jañgal
bhaTakne ko ye vīrāne bahut haiñ
hamāre qad ko chāhe jis se naapo
tumhāre paas paimāne bahut haiñ
mirā apnā hai ye saarā qabīla
magar is meñ bhī begāne bahut haiñ
hameñ kyā kaam aql-o-āgahī se
hamāre beach farzāne bahut haiñ
tirā zarf-e-samā.at dekhnā hai
mire hoñToñ pe afsāne bahut haiñ
ye sham-e-ishq hai bujhne na paa.e
abhī ham jaise parvāne bahut haiñ
sitam tere hifazat se rahenge
mere dil mein nihan-KHane bahut hain
uge hain har taraf shahron ke jangal
bhaTakne ko ye virane bahut hain
hamare qad ko chahe jis se napo
tumhaare pas paimane bahut hain
mera apna hai ye sara qabila
magar is mein bhi begane bahut hain
hamein kya kaam aql-o-agahi se
hamare beach farzane bahut hain
tera zarf-e-samaat dekhna hai
mere honTon pe afsane bahut hain
ye sham-e-ishq hai bujhne na pae
abhi hum jaise parwane bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.