sitam usne barson uThaya kiya
sitam us ne barsoñ uThāyā kiyā
magar rasm-e-ulfat nibhāyā kiyā
tire hijr meñ ai mah-e-auj-e-husn
falak mujh ko barsoñ rulāyā kiyā
na aanā thā un ko na aa.e yahāñ
maiñ har-chand un ko bulāyā kiyā
hamārī na us ne sunī ek bhī
adū haal apnā sunāyā kiyā
hameñ vaañ kā jaanā manā hī rahā
adū un ke ghar roz aayā kiyā
shab-e-vasl vo mahv-e-zīnat rahe
maiñ ā.īna un ko dikhāyā kiyā
pasījā na dil un kā haa.e ġhazab
maiñ āñkhoñ se dariyā bahāyā kiyā
na maane vo āḳhir chale hī ga.e
bahut un ko 'shaidā' manāyā kiyā
sitam us ne barson uThaya kiya
magar rasm-e-ulfat nibhaya kiya
tere hijr mein ai mah-e-auj-e-husn
falak mujh ko barson rulaya kiya
na aana tha un ko na aae yahan
main har-chand un ko bulaya kiya
hamari na us ne suni ek bhi
adu haal apna sunaya kiya
hamein wan ka jaana mana hi raha
adu un ke ghar roz aaya kiya
shab-e-wasl wo mahw-e-zinat rahe
main aaina un ko dikhaya kiya
pasija na dil un ka hae ghazab
main aankhon se dariya bahaya kiya
na mane wo aaKHir chale hi gae
bahut un ko 'shaida' manaya kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.