sitam wo ahl-e-mohabbat pe Dhae jate hain
sitam vo ahl-e-mohabbat pe Dhaa.e jaate haiñ
galī se un kī janāze uThā.e jaate haiñ
nazar se merī chhupā kar tajalliyāñ apnī
zamāne bhar ko vo jalva dikhā.e jaate haiñ
tumhāre hijr ke qisse ye nāma-bar mere
ba-roz-e-hashr ḳhudā ko sunā.e jaate haiñ
huā ye hukm ki 'aasī jhukā.eñ sar apnā
ye roz-e-hashr hai 'āshiq uThā.e jaate haiñ
samā sake na jo donoñ jahān meñ yaaro
qasam ḳhudā kī vo dil meñ samā.e jaate haiñ
dikhā.ī detī hai tauhīd ab ke ḳhatre meñ
so tere naqsh-e-kaf-e-pā miTā.e jaate haiñ
mileñge vo hameñ jannat meñ soch kar 'haidar'
tasavvurāt meñ jannat sajā.e jaate haiñ
sitam wo ahl-e-mohabbat pe Dhae jate hain
gali se un ki janaze uThae jate hain
nazar se meri chhupa kar tajalliyan apni
zamane bhar ko wo jalwa dikhae jate hain
tumhaare hijr ke qisse ye nama-bar mere
ba-roz-e-hashr KHuda ko sunae jate hain
hua ye hukm ki 'asi jhukaen sar apna
ye roz-e-hashr hai 'ashiq uThae jate hain
sama sake na jo donon jahan mein yaro
qasam KHuda ki wo dil mein samae jate hain
dikhai deti hai tauhid ab ke KHatre mein
so tere naqsh-e-kaf-e-pa miTae jate hain
milenge wo hamein jannat mein soch kar 'haidar'
tasawwuraat mein jannat sajae jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.