sitam yahi hai ki ab ye sitam nahin hota
sitam yahī hai ki ab ye sitam nahīñ hotā
vo 'aks chāñdnī rātoñ meñ zam nahīñ hotā
'ajab nahīñ ki koī ḳhvāb phir nikal aa.e
magar ye aañkh kā gosha ki nam nahīñ hotā
baḌhe jo 'umr to ye ranj baḌhtā jaatā hai
sivā.e 'umr ke kuchh bhī to kam nahīñ hotā
hazār shukr ḳhudā-e-falak-nashīñ terā
ye sar zamīñ ke ḳhudāoñ se ḳham nahīñ hotā
tumhārī yaad tumhārī qasam nahīñ aatī
tumhārā zikr tumhārī qasam nahīñ hotā
tirā bayān had-e-shā’irī se bāhar hai
‘amīr-imām' talak se raqam nahīñ hotā
sitam yahi hai ki ab ye sitam nahin hota
wo 'aks chandni raaton mein zam nahin hota
'ajab nahin ki koi KHwab phir nikal aae
magar ye aankh ka gosha ki nam nahin hota
baDhe jo 'umr to ye ranj baDhta jata hai
siwae 'umr ke kuchh bhi to kam nahin hota
hazar shukr KHuda-e-falak-nashin tera
ye sar zamin ke KHudaon se KHam nahin hota
tumhaari yaad tumhaari qasam nahin aati
tumhaara zikr tumhaari qasam nahin hota
tera bayan had-e-sha’iri se bahar hai
‘amir-imam' talak se raqam nahin hota
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 95)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.