sitam-zada kai bashar qadam qadam pe the
sitam-zada ka.ī bashar qadam qadam pe the
shikasta dil shikasta ghar qadam qadam pe the
mile haiñ rahzanoñ kī saf meñ vo bhī āḳhirash
sharīk-e-rah jo rāhbar qadam qadam pe the
huā guzar hamārā kaise shahr-e-ilm meñ
ki nukta-dāñ o dīda-var qadam qadam pe the
hai kyā ajab ki ḳhvāb thā vo manzar-e-hasīñ
hazāroñ log ḳhush-nazar qadam qadam pe the
the jauq jauq ās-pās kargas o uqaab
parind kuchh shikasta-par qadam qadam pe the
hamārā 'akbar' ek hī ḳhudā thā aur bas!
nisār but-parast go sanam sanam pe the
sitam-zada kai bashar qadam qadam pe the
shikasta dil shikasta ghar qadam qadam pe the
mile hain rahzanon ki saf mein wo bhi aaKHirash
sharik-e-rah jo rahbar qadam qadam pe the
hua guzar hamara kaise shahr-e-ilm mein
ki nukta-dan o dida-war qadam qadam pe the
hai kya ajab ki KHwab tha wo manzar-e-hasin
hazaron log KHush-nazar qadam qadam pe the
the jauq jauq aas-pas kargas o uqab
parind kuchh shikasta-par qadam qadam pe the
hamara 'akbar' ek hi KHuda tha aur bas!
nisar but-parast go sanam sanam pe the
- Book : Firdaus-e-Khayal (Poetry) (Pg. 33)
- Author : Akbar Hyderabadi
- Publication : Nirali Duniya Publications (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.