sitamgar ko bhi ahl-e-dard ka ham-majra kar de
sitamgar ko bhī ahl-e-dard kā ham-mājrā kar de
ḳhudāyā dard-mandoñ kā use dard-āshnā kar de
tahī-dāman vo kyoñ jis par tirī chashm-e-karam maulā
dar-e-altāf vā kar de murād-e-dil atā kar de
vo dīvāna giraftār-e-ġham-e-duniyā nahīñ hotā
jise terā junūñ āzād-e-fikr-e-mā-sivā kar de
bahut hī qīmtī tohfe ye hoñge ai mirī qismat
mire ahbāb ke ranj-o-alam mujh ko atā kar de
mohabbat hai use terī adā se bahr-e-tūfānī
to ab tūfān ko kashtī mirī kā ham-navā kar de
kahīñ mahrūm rah jaa.e na 'panchhī' terī baḳhshish se
idhar bhī ehtimām-e-bāda-noshī sāqiyā kar de
sitamgar ko bhi ahl-e-dard ka ham-majra kar de
KHudaya dard-mandon ka use dard-ashna kar de
tahi-daman wo kyon jis par teri chashm-e-karam maula
dar-e-altaf wa kar de murad-e-dil ata kar de
wo diwana giraftar-e-gham-e-duniya nahin hota
jise tera junun aazad-e-fikr-e-ma-siwa kar de
bahut hi qimti tohfe ye honge ai meri qismat
mere ahbab ke ranj-o-alam mujh ko ata kar de
mohabbat hai use teri ada se bahr-e-tufani
to ab tufan ko kashti meri ka ham-nawa kar de
kahin mahrum rah jae na 'panchhi' teri baKHshish se
idhar bhi ehtimam-e-baada-noshi saqiya kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.