sitamgaron ki itaat qubul karta hai
sitamgaroñ kī itā.at qubūl kartā hai
jadīd daur kā insāñ bhī bhuul kartā hai
tamām a.azā haiñ gumrāh ummatoñ kī tarah
bas ek dil hai jo kār-e-rasūl kartā hai
baḌī aziim duā se navāz kar saa.il
bahut haqīr sī qīmat vasūl kartā hai
kahāñ mahakte the pahle mire dar-o-dīvār
ye kaam us kī mohabbat kā phuul kartā hai
fasāna chheḌ ke guzre hue zamāne kā
vo apne saath mujhe bhī malūl kartā hai
hamāre bas meñ nahīñ hai mohabbatoñ kā nizām
vo ham se harf-e-shikāyat fuzūl kartā hai
mujhe to raqs bhī karne kā fan nahīñ aatā
zamāna kis liye merī nuqūl kartā hai
bichhaḌ gayā hai koī to koī milegā bhī
'riyāz' kis liye ḳhud ko malūl kartā hai
sitamgaron ki itaat qubul karta hai
jadid daur ka insan bhi bhul karta hai
tamam aaza hain gumrah ummaton ki tarah
bas ek dil hai jo kar-e-rasul karta hai
baDi azim dua se nawaz kar sail
bahut haqir si qimat wasul karta hai
kahan mahakte the pahle mere dar-o-diwar
ye kaam us ki mohabbat ka phul karta hai
fasana chheD ke guzre hue zamane ka
wo apne sath mujhe bhi malul karta hai
hamare bas mein nahin hai mohabbaton ka nizam
wo hum se harf-e-shikayat fuzul karta hai
mujhe to raqs bhi karne ka fan nahin aata
zamana kis liye meri nuqul karta hai
bichhaD gaya hai koi to koi milega bhi
'riyaz' kis liye KHud ko malul karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.