siwae ishq-e-butan aur mujhko kaam nahin
sivā.e ishq-e-butāñ aur mujh ko kaam nahīñ
unhī kā zikr hai lab par ḳhudā kā naam nahīñ
talāsh-e-yār meñ āvāra-vār phirtā huuñ
misāl-e-charḳh mujhe ek dam qiyām nahīñ
raqīb ke liye bhar bhar ke jaam aate haiñ
hamāre vāste piine kā intizām nahīñ
sulūk ġhair se jo hai vo ham se hotā hai
tumhārī bazm meñ tafrīq-e-ḳhās-o-ām nahīñ
hasīn jitne haiñ sab māl-o-zar ke bande haiñ
yahāñ to ishq hai lekin girah meñ daam nahīñ
kisī se roz tasavvur meñ baat hotī hai
qasam ḳhudā kī mujhe hājat-e-payām nahīñ
na kar visāl meñ un se gila dil-e-nādāñ
ḳhushī kā vaqt hai rone kā ye maqām nahīñ
har ek sher meñ hijrāñ butāñ kā ronā hai
tire kalām meñ 'hājir' ḳhushī kā naam nahīñ
siwae ishq-e-butan aur mujh ko kaam nahin
unhi ka zikr hai lab par KHuda ka nam nahin
talash-e-yar mein aawara-war phirta hun
misal-e-charKH mujhe ek dam qiyam nahin
raqib ke liye bhar bhar ke jam aate hain
hamare waste pine ka intizam nahin
suluk ghair se jo hai wo hum se hota hai
tumhaari bazm mein tafriq-e-KHas-o-am nahin
hasin jitne hain sab mal-o-zar ke bande hain
yahan to ishq hai lekin girah mein dam nahin
kisi se roz tasawwur mein baat hoti hai
qasam KHuda ki mujhe hajat-e-payam nahin
na kar visal mein un se gila dil-e-nadan
KHushi ka waqt hai rone ka ye maqam nahin
har ek sher mein hijran butan ka rona hai
tere kalam mein 'hajir' KHushi ka nam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.