siyah hai dil-e-giti siyah-tar ho jae
siyāh hai dil-e-gītī siyāh-tar ho jaa.e
ḳhudā kare ki har ik shaam be-sahar ho jaa.e
kuchh is ravish se chale bād-e-barg-e-rez-e-ḳhizāñ
ki duur tak saf-e-ashjār be-samar ho jaa.e
bajā.e rañg rag-e-ġhunchā se lahū Tapke
khile jo phuul to har barg-e-gul sharar ho jaa.e
zamāna pī to rahā hai sharāb-e-dānish ko
ḳhudā kare ki yahī zahr kārgar ho jaa.e
koī qadam na uThe sū-e-manzil-e-maqsūd
duā karo ki har ik raah pur-ḳhatar ho jaa.e
ye log rah-guzar-e-zīst se bhaTak jaa.eñ
ajal qavāfil-e-hastī kī ham-safar ho jaa.e
ba-qadr yak-do-nafs bhī girāñ hai zahmat-e-zīst
hayāt-e-nau-e-bashar aur muḳhtasar ho jaa.e
siyah hai dil-e-giti siyah-tar ho jae
KHuda kare ki har ek sham be-sahar ho jae
kuchh is rawish se chale baad-e-barg-e-rez-e-KHizan
ki dur tak saf-e-ashjar be-samar ho jae
bajae rang rag-e-ghuncha se lahu Tapke
khile jo phul to har barg-e-gul sharar ho jae
zamana pi to raha hai sharab-e-danish ko
KHuda kare ki yahi zahr kargar ho jae
koi qadam na uThe su-e-manzil-e-maqsud
dua karo ki har ek rah pur-KHatar ho jae
ye log rah-guzar-e-zist se bhaTak jaen
ajal qawafil-e-hasti ki ham-safar ho jae
ba-qadr yak-do-nafs bhi giran hai zahmat-e-zist
hayat-e-nau-e-bashar aur muKHtasar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.