siyah hai dil-e-giti siyah-tar ho jae
siyāh hai dil-e-gītī siyāh-tar ho jaa.e
ḳhudā kare ki har ik shaam be-sahar ho jaa.e
kuchh is adā se chale bād-e-barg-rez ḳhizāñ
ki duur tak saf-e-ashjār be-samar ho jaa.e
bajā.e rañg rag-e-ġhuncha se lahū Tapke
khile jo phuul to har barg-e-gul sharar ho jaa.e
paḌe jo haath chaman meñ ba-qasd-e-gul-chīnī
misāl-e-panja-e-qassāb ḳhuuñ meñ tar ho jaa.e
faroġh-e-mahr se ho iḳhtilāj-e-qalb-e-fuzūñ
bahāna-e-ḳhafaqāñ jalva-e-qamar ho jaa.e
zamāna pī to rahā hai sharāb dānish ko
ajab nahīñ ki yahī zahr kārgar ho jaa.e
koī qadam na uThe sū-e-manzil-e-maqsūd
duā ye kar ki har ik raah pur-ḳhatar ho jaa.e
siyah hai dil-e-giti siyah-tar ho jae
KHuda kare ki har ek sham be-sahar ho jae
kuchh is ada se chale baad-e-barg-rez KHizan
ki dur tak saf-e-ashjar be-samar ho jae
bajae rang rag-e-ghuncha se lahu Tapke
khile jo phul to har barg-e-gul sharar ho jae
paDe jo hath chaman mein ba-qasd-e-gul-chini
misal-e-panja-e-qassab KHun mein tar ho jae
farogh-e-mahr se ho iKHtilaj-e-qalb-e-fuzun
bahana-e-KHafaqan jalwa-e-qamar ho jae
zamana pi to raha hai sharab danish ko
ajab nahin ki yahi zahr kargar ho jae
koi qadam na uThe su-e-manzil-e-maqsud
dua ye kar ki har ek rah pur-KHatar ho jae
- Book : Pakistani Adab (Pg. 493)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.